Saturday 27 July 2013

Agayaa wo noore waala jiska saara Noor he

Subho Meelade Nabi he kya suhana Noor he
Agayaa wo noore waala jiska saara Noor he

Aankh waalo aawo dekho maahe Tayba ki ziyaa
Aasmaan ke chand me to peeka peeka Noor he


Tu na hota, to na hota do jahaan ka intizaam
Tu zameen ka noor he, tu asmaan ka Noor he


Jisne jo kuch Noor payaa sub Teri Sarkaar se
Noor ki Sarkaar ka to subse pehla Noor he


Jistaraf ko ut’gayee aalam munaw’war hogaye
Me Teri Aankho ke Sadqe in me kitna Noor he


Mustafa ke noor me he Zaate Baari Jalwa ghar
Mustafa ka Noor yoon kehte! Khuda ka Noor he


Istaraf bi ek nighahe Noorale Noorala
Me sarapaa ma’siyat hoon Tu sarapaa Noor he

Ai Sabze Ghumbadh wale manzoor Dua karna -Naat Lyrics-

Ai Sabze Ghumbadh wale manzoor Dua karna
Jab waqt nazah aye deedar atha karna
Ai Noor-e-Khuda aakar ankho me samaa jana
Ya Dar pe bhulaalenah ya Khaab me aajana

Ai Pardah nashi dil ke parde me reha karna
Jab waqt nazah aye deedar atha karna

Mehboob Ilaahi sa koyi na hasee dekha
Ye Shaan he in ki se saaya bhi nahi dekha

Allah ne saayeh ko chaha na Judah karna
Jab waqt nazah aye deedar atha karna

Me qabre andheri me ghabrah wohnga jab thanha
Imdaad mere karne ajaana zarah esharah

Roshan meri Turbath ko Lillah zara karna
Jab waqt nazah aye deedar atha karna

Chereh se diya paaye in chand sithaaro ne
Us dar se Shifa paaye dukh dard ke maaro ne

Atha he inni Saabir har dukh ki dhawa karna
Jab waqt nazah aye deedar atha karna

Arsh ne chuma hain thalwaa Aap ki nalain ka -Naat Lyrics-

Arsh ne chuma hain thalwaa Aap ki nalain ka
Ya Nabi dikha ye rutba Aap ki nalain ka
Aap ki khidmat ka mujh ko kaash mil jaata sharaf
Bund thi haatho se thasma Aap ki nalain kaa
Ya Nabi dikha ye rutba Aap ki nalain ka
Aap ki kadmo ki narmee kalb par mehsoos ki
Jabee me ne nahsh dekha Aap ki nalain ka
Ya Nabi dikha ye rutba Aap ki nalain ka
Hashr mein jab log chuma Aap ka dasta e karam
Sab se chup kar lu mein bosa Aap ki nalain ka
Ya Nabi dikha ye rutba Aap ki nalain ka
Rawz-e-Mehshar sar pe suraj jab sava naza par ho
Ek naza par ho saya Aap ki nalain ka
Ya Nabi dikha ye rutba Aap ki nalain ka
Jisse aage je tho jal je par Jibreel ke
Usse aage janaa dheka Aap ki nalain ka
Ya Nabi dikha ye rutba Aap ki nalain ka
Taaj kyun na beekh maange Aap ki nalain ka
Taajwar kathe hein sadqa Aap ki nalain ka
Ya Nabi dikha ye rutba Aap ki nalain ka
Aap ki nalain ka
Aap ki nalain ka
Aap ki nalain ka
Arsh ne chuma hain thalwaa Aap ki nalain ka
Ya Nabi dikha ye rutba Aap ki nalain ka
Aap ki kadmo ki narmee kalb par mehsoos ki
Jabee me ne nahsh dekha Aap ki nalain ka

Aahista Chal -Naat Lyrics-

Zaahir-e-kuwe jinaah aahista chal
Dekh aaya hai kahaan aahista chal
Jaise ji chahe jahan mein ghoom phir
Ye Madinah hai yahan aahista chal
Baargah-e-naaz mein aahista bol
Hoga sab kuch rayega aahista chal
Haazri mein hai malak sattar hazaar
Qudsiyon ke darmiyan aahista chal
Dekhloon ji bhar ke sheher-e-Mustafa
Mere meer-e-kaarwan aahista chal
Jaliyon ke saamne jaldi na kar
Woh hai Naazish meherbaan aahista chal

Aagaye Sarkar -Naat Lyrics-

khushiya mana-o, dhum e macha-o,
khushiya mana-o, dhum e macha-o, aagaye sarkar,
khushiya mana-o, dhum e macha-o
aamad huwi he unki, sab zulmate chati hein,
aaj divaano, milkar bolo, aagaye sarkaar,
pur noor he ye aalam, sab muskuraa rahe hein,
unki aamad ke charche hein, aagaye sarkar,
aaqa ki aamad se to, so-e naseeb jage,
kul nabiyon ke sarwar aaye, aagaye sarkar,
mahshar ke rawz jin se, pehchaan jaayenge hum,
kyun ghabrate hon divaano, aagaye sarkar,
ghar, ghar chiraaghaan kar lo, galiyon ko jagmaga-o,
mil kar laga-o, nara khushi ka, aagaye sarkar,
nazraana-e-aqidat, jo pesh kar raha hoon,
naat likhi hey, aaj ali ne, aagaye sarkar

Aaj aaye nabiyon kay sardar marhaba -Naat Lyrics-

Aaj aaye nabiyon kay sardar marhaba,
Marhaba aye qafila salaar marhaba.

Amina kay dilbar o dildar marhaba,
Marhaba aye mehboob-e-ghaffar marhaba.

Shaad ho kay aamad-e-khair ul wara hai aaj,
Ghum kay maaray bol uthay ghum khwaar marhaba.

Subz parcham haath mein lehra kay sub bolo,
Makki madni aye arabi sardar marhaba.

Jhoomta hai wajd mein kaaba khushi mein aaj,
Keh rahe hain mibar-o-minaar marhaba.

Bas gayi hai wadi-e-jaan mein naee mehek,
Teri aamad per shah-e-abrar marhaba.

Do ubaid-e-bay hunar ko naat ka shaoor,
Kar raha hai piyaar se takraar marhaba.

Aa gae muzda shafa’at ka sunanay wale -Naat Lyrics-

Aa gae muzda shafa’at ka sunanay wale,
Naar-e-dozakh se ghulamon ko bachanay wale.

Hai muqaddar main bulandi hi bulandi apne,
Hum tou hain kadmon main sar un k jhukanay wale.

Kar k ehsaan jitaana yeh nahi shaan unki,
Aur koi hon gai woh ehsaan jitaanay wale.

Mar k pohancha jo lehed main tou nakeeron ne kaha,
Marhaba na’at shah-e-deen ki sunanay wale.

Tu jala sakti nahi sun le jahanam hum ko,
Hum tou hain jashan-e-wilaadat kay mananay wale.

Kash sarkaar sar-e-hashar kahain mujh se Obaid,
Aa ja daaman main meri na’at sunanay walay.